insan mal-o-zar ka parastar ho gaya aasan ab zamir ka byopar ho gaya mujrim-dimagh jurm ka bimar ho gaya duniya samajh rahi hai ki fankar ho gaya jis ne chalai zulm-o-tassub ki aandhiyan qanun kaise us ka madad-gar ho gaya le de ke naukri pe chadhe kah rahe hain log bhagwan ki daya hai chamatkar ho gaya ahbab mere chehre se padhte hain hadse goya ki hadson ka main akhbar ho gaya rakkhi hai tu ne mere liye qabr ki zamin tere tufail main bhi zamin-dar ho gaya padh likh ke beta itna bada ho gaya ki aaj man-bap se hi barsar-e-paikar ho gaya