bulandi par pahunchna hai to paida khaksari kar bada ban ne ki khwahish hai to ijz-o-inkisari kar agar hansne ki khwahish hai to aadat dal rone ki sukun darkar hai tujh ko to paida be-qarari kar sar-e-taslim kham kar de mizaj-e-yar ke aage jo lazim chiz hai is ko na sabit ikhtiyari kar burai karne walon ko tu hans kar darguzar kar de khushamad karne walon se tu zahir na-gawari kar yaqinan nar-e-dozakh sard hogi chand qatron se nadamat se zara gardan jhuka kar ashk-bari kar faqat aage nazar rakhne mein gir jaane ka khatra hai to pichhe dekh kar chalne ki nadan hoshiyari kar ye diwanon ki duniya hai ajab kuchh baat hai is ki sukun-e-qalb ko puchha to bole aah-o-zari kar