bulandiyon ka tha jo musafir wo pastiyon se guzar raha hai tamam din ka sulagta suraj samundaron mein utar raha hai tumhaari yaadon ke phul aise sahar ko aawaz de rahe hain ki jaise thandi hawa ka jhonka meri gali se guzar raha hai alag hain nazren alag nazare ajab hain raaz-o-niyaz sare kisi ke jazbe chamak rahe hain kisi ka ehsas mar raha hai ajib josh-e-junun hai us ka ajib tarz-e-wafa hai mera main lamha lamha simat rahi hun wo reza reza bikhar raha hai nazar mein rangin shamiyane mohabbaton ke nae fasane ye kaun hai dil ke waswason mein jo mujh ko bechain kar raha hai tamam alfaz mit chuke hain bas ek safha abhi hai baqi use musalsal main padh rahi hun jo naqsh dil par ubhar raha hai wo mere ashkon ke aaine mein saja hai 'mina' kuchh is tarah se ki jaise shabnam ke qatre qatre mein koi suraj sanwar raha hai