ye sach nahin ki tamazat se dar gai hai nadi sukun-e-dil ke liye apne ghar gai hai nadi abhi to pahne hui thi libas-e-khamoshi ye kya hua ki achanak biphar gai hai nadi hamein ye dar hai ki phir se biphar na jae kahin qadam badhao ki is waqt utar gai hai nadi wo shakhs tadpa na chillaya aur mar bhi gaya pata chala nahin kab war kar gai hai nadi nahin mili jo rifaqat kisi samundar ki to reza reza si ho kar bikhar gai hai nadi na jaane aaj tu itni malul si kyun hai ye kya hua ki teri aankh bhar gai hai nadi suna suna ke ghamon ki kahaniyan 'firdaus' mujhe to aur bhi ghamgin kar gai hai nadi