bulandiyon pe zamane hai kya kiya jae hamein bhi chand pe jaana hai kya kiya jae wo jis ke samne khulte nahin hain lab mere usi ko sher sunana hai kya kiya jae hawas ki zad pe tadapti sisakti duniya mein waqar apna bachana hai kya kiya jae nikal pada hai koi ghar se bijliyan le kar mera chaman hi nishana hai kya kiya jae bahaar se hi dare baithe hain chaman wale abhi khizan ko bhi aana hai kya kiya jae