bulandiyon se utar kar kabhi pukar mujhe azal se tere karam ka hai intizar mujhe tere jamal-e-shafaq-rang ka zuhur hun main mila hai teri tamazat se ye waqar mujhe tawil umr se fikr-o-nazar ki qaid mein hun nigah-e-waqt ki suli se ab utar mujhe teri wafa ka bharam meri zat se mansub mukhalifon ki safon mein na kar shumar mujhe haqiqaton ko samajh maslahat-shanas na ban fasil-e-jabr se khud bhi nikal ubhaar mujhe teri talab ki kadi dhup mein bhi hun lekin ata ho abr-e-karam ped saya-dar mujhe main tirgi ko amanat teri samajhta hun tu raushni hai to koi kiran utar mujhe