aaina dekhta rahta hai sanwarne wala kaun ab hoga yahan pyar pe marne wala kis ki chahat ka bharam rakhta hai dil mein apne teri khatir nahin koi bhi marne wala bazm se uthne se pahle ye zara soch bhi le khwab ban jaega nazron se guzarne wala har ghadi wo bhi to logon ki tarah hain rahta pahle simta tha kaha khud se bikharne wala hum nahin kahte ye haalat batate hain hamein kab sukun pata hai haalat se darne wala gardishen waqt se kahta hai koi ja ke 'kiran' ek lamha bhi nahin pas thaharne wala