bulbul ka haal dekh chuka hun chaman se dur aae na mujh ko maut ilahi watan se dur han ek nazar idhar bhi zara ahl-e-anjuman baitha hai pa-shikasta koi anjuman se dur ummid-e-iltifat bandhate ho kis liye jaun kahan main saya-e-charkh-e-kuhan se dur koi mizaj-dan hai na koi sharik-e-dard hun khitta-e-adam ke qarib aur watan se dur parwardagan-e-naz zara ye bhi soch len dasht-e-basit itna nahin hai chaman se dur kis se kahun main dil ki yahan kaun hai mera ghurbat ne la ke chhod diya hai watan se dur jab se mera nasib bigadta chala gaya hota chala gaya main hudud-e-watan se dur 'bismil' wo waqt hae wo jannat-badosh waqt milta hai koi ahl-e-watan jab watan se dur