ai mazaq-e-justuju-e-dost tu le chal kahin ye zamin ho ya na ho ye aasman ho ya na ho sar jhukae meri baalin se utha hai chaaragar ab wo meri iltija par mehrban ho ya na ho qissa-e-uftad-e-gham kah kar subuk-sar kyon banun wo mere haal-e-zabun par mehrban ho ya na ho pine wale pi magar thukra ke pi har qaid-o-band mai-kada ho ya na ho pir-e-mughan ho ya na ho aansuon se dil zara halka to ho jata hai dost kya khabar yun chaara-e-dard-e-nihan ho ya na ho taqat-e-parwaz hoti ja rahi hai garm-kar ab chaman ho ya na ho ab aashiyan ho ya na ho chashm-e-dushman mein hai is bedar-qismat ka maqam doston ke lab pe meri dastan ho ya na ho zamzama-pardaz sha'ir chahiye ab bazm mein ahl-e-fan ho ya na ho ahl-e-zaban ho ya na ho