bulbul kaho gul ki kya khabar hai gulshan mein bahaar kis qadar hai manzur-e-nazar hai jab se khush-chashm apni na kisu taraf nazar hai gar shaikh ne aah ki to mat bhul dil mein patthar ke bhi sharar hai nargis jo khadi hai 'ishq' hairan kis jaaniye kis ki rah par hai