biti hai ye sab dil pe hai sab dil ki zabani hijran ki jo dilbar se main kahta hun kahani tu yar aziz aankhon mein hai mahr-washon ke nin hai mah-e-kanan bhi tere husn ke sani abru ke tere chin ke kya wasf kahun main shamshir mein jauhar se hai khubi ki nishani sar par ho sar-e-bazm kahan shama mein hai aab gar ishq ki aankhen jo karen ashk-fishani