bulbul sune na kyunki qafas mein chaman ki baat aawara-e-watan ko lage khush watan ki baat mat puchh haal apne tu bimar-e-ishq ka hone lagi ab us ke to gor-o-kafan ki baat hai mausam-e-bahaar mein ba-sad-zaban khamosh ghunche ne kya suni thi kisi ke dahan ki baat aish-o-tarab ka zikr karun kya main dosto mujh gham-zada se puchhiye ranj-o-mehan ki baat naseh main kya kahun ki hua kis tarah se chaak dast-e-junun se puchho mere pairahan ki baat tha aaqil-e-zamana pa diwana ho gaya jis shakhs ne suni mere diwana-pan ki baat sar dije rah-e-ishq mein par munh na modiye patthar ki si lakir hai ye kohkan ki baat bazm-e-chaman bhi us se khajil hai bahaar mein kya puchhne hai yar teri anjuman ki baat yaro main kya kahun ki jala kis tarah patang puchho zaban-e-shama se us ki lagan ki baat shayad usi ka zikr ho har rahguzar mein main sunta hun gosh-e-dil se har ek mard-o-zan ki baat wo shai nahin hai hum mein ki jis se mile wo yar aati hai yun to hum ko bhi har ek fan ki baat 'jurat' khizan ke aate chaman mein raha na kuchh ek rah gai zaban pe gul-o-yasman ki baat