bin tere kya kahen kya rog hamein yar laga dar lage nam liye jis ka wo aazar laga sab ye kahte hain mujhe tujh se jo dil yar laga hae kya is ko jawani mein ye aazar laga hum diwanon ka ye hai dasht-e-junun mein rutba ki qadam rakhte hi aa panw se har khar laga kahiye kyunkar na use baadshah-e-kishwar-e-husn ki jahan ja ke wo baitha wahin darbar laga qadr phir apni ho kya us ke kharidaron mein roz-o-shab jis ki gali mein rahe bazar laga kaun sa din wo kata mujh pe ki ai tegh-e-firaq zakhm ek taza mere dil pe na har bar laga dil mein ab us ke jo lahr aai hai ghar jaane ki tu bhi rone ki jhadi dida-e-khun-bar laga muttasil tu jo mera khun-e-jigar pita hai kyun gham-e-ishq ye kya tujh ko mazedar laga tez-dasti-e-junun aaj hai aisi hi ki bas na raha apne gareban mein koi tar laga is zamin mein ghazal ek aur bhi padh ai 'jurat' khub andaz ke ab kahne tu ashaar laga