bulbul wo gul hai khwab mein tu ga ke mat jaga ya chutkiyon ki ghunchon se bajwa ke gat jaga wo gul-ezar bagh mein aawe jo rahm kar kahte hain gul gulon se karen aaj rat-jaga hamdam wo bazla-sanj to aate hi so raha khush-tabiyon se bol ke baham jagat jaga ta-subh sham se rahe majlis mein daur-e-jam saqi hamein jagae to ba-kaifiyat jaga kati hai bekali se shab-e-hijr-e-gul-rukhan tuk aankh lag gai hai saba hum ko mat jaga hai mujh ko us ki nazuki-e-taba se lihaz dun warna aankhen panw se mal kar turat jaga farhad-o-qais chhod gae kishwar-e-junun naubat par apni wan ki dila saltanat jaga