jagti haqiqat tak rasta hai khwabon ka darmiyan mere un ke fasla hai khwabon ka ek shab ke tukdon ke nam mukhtalif rakhe jism-o-ruh ka bandhan silsila hai khwabon ka dekhen is kashakash ka ikhtitam ho kab tak jagne ki khwahish hai hausla hai khwabon ka apni apni tabiren dhundhta hai har chehra chehra chehra padh lije tazkira hai khwabon ka nashshe ka ye aalam hai sach hi sach lage sab kuchh zindagi ki sahba hai mai-kada hai khwabon ka gard-e-rah ki surat sans sans hai ai 'nur' mir-e-karwan main hun qafila hai khwabon ka