bulwata hai aqab se mera qafila mujhe kaisa mila hai tund-wari ka sila mujhe furqat ke din guzarna yun to muhaal tha ek teri yaad ne hi diya hausla mujhe ye aur baat hai ki mera zarf tang tha apni taraf se tu ne to sab kuchh diya mujhe jab gardish-e-falak se na kuchh baat ban saki duniya-e-rang-o-bu ka banaya khuda mujhe go farsh par hun phir bhi tasawwur mein arsh hai dekha tera khayal kahan le gaya mujhe tere karam ka zarra-nawazi ka shukriya duniya bhi kah rahi hai qatil-e-jafa mujhe 'bismil' ki aarzuen to pamal kar chuke ab de rahe ho hasula-e-mudda mujhe