bhule se kabhi le jo koi nam hamara mar jae khushi se dil-e-nakaam hamara le jati hai us samt hamein gardish-e-dauran ai dost kharabaat se kya kaam hamara kar lete hain takhliq koi wajh-e-aziyyat bhata nahin khud hum ko bhi aaram hamara ai gardish-e-dauran ye koi soch ki rut hai kam-bakht abhi daur mein hai jam hamara is bar to aaya tha idhar qasid-e-jaan khud sarkar ko pahuncha nahin paigham hamara pahunchai hai taklif bahut pahle hi tujh ko ai rah-numa hath na ab tham hamara ai qafila-e-hosh ganwa waqt na apna padta nahin kuchh thik abhi gam hamara dekha hai haram tera magar hae-re zahid mahka hua wo kucha-e-asnam hamara ghilman bhi jannat ke badi chiz hain lekin tauba meri wo saqi-e-gulfam hamara gul nauha-kunan o sanam-e-dast-ba-sina allah ghani! lamha-e-anjam hamara kar baithe hain hum bhul ke tauba jo sahar ko shishe ko taaqub hai sar-e-sham hamara mai pina 'adam' aur qadam chumna un ke hai shaghl yahi ab sahar-o-sham hamara