bund ban ban ke bikharta jae

bund ban ban ke bikharta jae
aks aaine ko bharta jae

ban ke kal kal jo guzarta jae
apne wade se mukarta jae

ek hi lai mein bahe jata hai
aur lagta hai thaharta jae

shahr sagar ka bhi ham-zad kahan
mauj-dar-mauj bipharta jae

aks makus hua hai jab se
apni nazron se utarta jae

ek naddi hai ki rukti hi nahin
ek tufan utarta jae

ek konpal mein simatne ke liye
ped ka ped bikharta jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close