bund mein kaise chhupa rahta hai sagar dekho apne ehsas ke dariya mein utar kar dekho roti phirti hai wafa ishq mein dar dar dekho kitne ziyaada hain zamane mein sitamgar dekho kaise aaya hai mere sar pe ye chhappar dekho mere papa ki hatheli ko bhi padh kar dekho sar pe malik ke nae kapde ki chadar dekho sari duniya ko bana kar use be-ghar dekho sakht koshish thi meri tum raho dil mein mere kaise bikhra hai tere gham mein mera ghar dekho teri duniya mein sabhi ek barabar lekin raushni sab ko nahin milti barabar dekho main tere ishq mein be-baat fana ho baitha kaam aaya na tere dar ke mera sar dekho bhawna kaun si thi us ko main samjha hi nahin shairi chumti hai satta ki thokar dekho dekh kar meri nigahon ki talab ko yaro pani pani hua jata hai samundar dekho mujh se hota to nahin tera bayan ishq kabhi log kahne na lage mujh ko sukhnawar dekho sari duniya se farebon se adakari se jal na jae kahin ehsas ka manzar dekho