gham ke tufan dil-e-muztar mein thahar jate hain aish ke lamhe to pal bhar mein guzar jate hain haif-sad-haif ki na-qadri-e-fan ke hathon kitne fankar lahu thuk ke mar jate hain wo pahunch sakte nahin baam-e-taraqqi pe kabhi waqt ke zine se jo log utar jate hain ahl-e-danish pe uthata nahin ungli koi jitne ilzam hain diwanon ke sar jate hain azm-o-himmat ko bana lete hain jo rah-numa sakht rahon se bhi hans hans ke guzar jate hain apne ehsas ke jalte hue virane mein khushk patton ki tarah log bikhar jate hain jab shab-e-gham mein mujhe tera khayal aata hai meri tanhai ke lamhat sanwar jate hain tohfa-e-mahr-o-wafa kaun yahan deta hai dil ka kashkol liye aap kidhar jate hain kis tarah waqt ki thokar wo karenge bardasht dil dhadakne ki sada sun ke jo dar jate hain un ke sae se bhi tum dur raho ai 'masum' apne wade se jo ahbab mukar jate hain