bura ho kar bhi wo achchha bahut hai wo jaisa hai nahin banta bahut hai namak to kam nahin hai roz-o-shab mein swad-e-zindagi phika bahut hai fareb-e-sadgi hai ya shararat main ye samjha ki wo mera bahut hai tujhe socha kiya shab-bhar sanwara nahin aisa nahin waisa bahut hai usi se baat karna hai ki jis ne hamein samjha nahin puchha bahut hai hamein kuchh der mein manzil milegi hamara rasta sidha bahut hai ye banda kaun hai kuchh 'badr' jaisa wahi jo bhid mein tanha bahut hai