bagh-e-dil mein koi ghuncha na khila tere baad bhul kar aai na is samt saba tere baad teri zulfon ki mahak tere badan ki khushbu dhundhti phirti hai ek pagli hawa tere baad wahi mele wahi panghat wahi jhule wahi git ganw mein par koi tujh sa na mila tere baad andhi raaton ki syahi mera maqdur hui koi tara mere aangan na gira tere baad de diya apne dil-o-jaan ka ek ek qatra aur kya chahti hai teri sada tere baad jism mera tha magar ruh ka malik tha aur kaisi ayyari ka ye raaz khula tere baad had-e-imkan talak kirnen wafa ki bikhren jism mera kai zakhmon se saja tere baad tu hi ghaalib nahin ek jaur-e-falak ka mara mere ghar aaya hai tufan-e-bala tere baad kisi khush-fahmi mein rahta hai tu badnam-'nazar' kaun rakkhega tujhe yaad bhala tere baad