bura kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte

bura kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte
khata kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte

tere zulm-o-tashaddud ka teri shola-bayani ka
gila kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte

hum apni nasl ke is zard aur sukhe gulistan ko
hara kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte

hamari dastaras mein hai bhalai phir gharibon ka
bhala kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte

dilon se har wo khwahish jo hamein barbaad karti hai
juda kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte

baham nafrat ke nasuron ki jo sinon mein palte hain
dawa kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte

hum apne khun se kar ke wuzu ab bhi namaz-e-haq
ada kya kar nahin sakte hain lekin hum nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close