bura waqt aa kar guzarta nahin hai masarrat bhara pal thaharta nahin hai karo khud ujalon ke asbab paida charaghon mein suraj utarta nahin hai sanbhaalen sabhi martaba apna apna samundar nadi mein utarta nahin hai buzurgon ki izzat hai jis ghar ka shewa ye sach hai ki wo ghar bikharta nahin hai ana par agar baat aa jae 'sabir' hawaon se tinka bhi darta nahin hai