charagh bas isi ummid par jala karega ki wapsi pe koi us se rabta karega tere liye wo koi rasta nikalega wo sab se ruth bhi jae tujhe mila karega dua salam mere aqraba ki sunnat hai tu munh ko pher ke kaise mujhe khafa karega qasam khuda ki main khali kaman laya hun khabar nahin thi mukhalif muqabla karega ye baat chhod ki mein bad zaban hun pagal hun ai khush-guman bata aaine ka kya karega tu par laga ke mujhe apna shauq pura kar use to puchh mujhe qaid se riha karega alam thama ke mujhe bhid mein utarne de faqir lad ke talluq ka haq ada karega usi majaz ko aate hain moajize sare wo shakh-e-khushk ko ek lams se hara karega ye aadmi jo kisi qurb ki talash mein hai jahan wajud mila baith kar khata karega