buri baat un ko hamari lage hamein un ki har baat pyari lage nae tarz ki un ki yari lage karen aisi baaten katari lage ye jharne ye lala ye sabza ye gul chaman mein har ek shai tumhaari lage ye majhul si dosti kya karen hamein dushmani dil se pyari lage kali sa badan hai ki mauj-e-bahaar wo sar se qadam tak kunwari lage ye dil ki amanat banen to sahi jo tir-e-sitam bari bari lage dilon mein jo utre to lahrae barq nigah-e-karam sehar-kari lage kisi khun-e-nahaq ki gul-reziyan chaman-dar-chaman lala-kari lage ghazal aisi kah di hai jafar-'raza' raqiban ke dil par katari lage