bus ki ab zulf ka sauda bhi mere sar mein nahin

bus ki ab zulf ka sauda bhi mere sar mein nahin
kya karun mang ke us ko jo muqaddar mein nahin

wo bhi manzar tha ki khud mujh mein tha ek ek manzar
ye bhi manzar hai ki ab main kisi manzar mein nahin

ab jo hum khud ko sameten to sameten kitna
sar bhi hai apna khula panw bhi chadar mein nahin

ai mere shauq-e-shahadat tera hafiz hai khuda
sakht jaan main bhi hun aur dhaar bhi khanjar mein nahin

milne ki aas mein kanton pe bhi chal kar khush tha
aur ab chain mujhe phulon ke bistar mein nahin

ab meri pyas ke bujhne ka nahin koi sawal
ab mere nam ki sahba kisi saghar mein nahin

baat ye hai ki nazar tab-e-nazar kho baithi
ye nahin hai ki kashish ab kisi paikar mein nahin

main to sab ka hun rifaqat pe meri sab ko hai naz
koi mera hi magar mere bhare ghar mein nahin

pur-tapak aaj bhi milte hain na jaane kitne
lekin ikhlas 'waqar' in mein se aksar mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close