but-e-kafir jo tu mujh se khafa ho nahin kuchh khauf mera bhi khuda hai ye dar-parda sitaron ki sada hai gali-kucha mein gar kahiye baja hai raqibon mein wo honge surkh-ru aaj hamare qatl ka beda liya hai yahi hai tar us mutrib ka har roz naya ek rag la kar chhedta hai shunida kai bawad manind-e-did tujhe dekha hai huron ko suna hai pahunchta hun jo main har roz ja kar to kahte hain ghazab tu bhi 'rasa' hai