but-gar hai na koi but-shikan hai sab wahm-o-guman-e-brahman hai ye kaun sharik-e-anjuman hai aankhon ko bhi hasrat-e-sukhan hai aasan to hai ju-e-shir lekin kuchh aur hi azm-e-kohkan hai ai aatish-e-dil adab hai lazim mujh mein bhi wo bu-e-pairahan hai viran si ho chali hain rahen rahbar hai na koi rahzan hai eajaz-e-ghazal ki khud 'rawish' se wo jaan-e-kalam ham-sukhan hai