bhara ghar hai koi sahra nahin hai yahan lekin koi apna nahin hai ghazab hai ho gaya bargad bhi indhan buzurgon ka kahin saya nahin hai musibat mein bhi daman-e-sharafat hamare hath se chhuta nahin hai tamashai hun yun apne ghamon ka ki jaise dard-o-gham dekha nahin hai mohabbat ki kiran phuti hai dil se kitabon se use sikha nahin hai yahi ehsas dil ko das raha hai tu mera ho ke bhi mera nahin hai 'shahab' ashaar tere padh ke dekhe haqiqat hai koi qissa nahin hai