buto khuda pe na rakkho moamla dil ka bura-bhala yahin ho jae faisla dil ka buton se hai mutalliq moamla dil ka khuda hai hashr mein bhi ho jo faisla dil ka chalo bala se agar hai ye aastin ka sanp baghal mein pal ke main kya karun gila dil ka khayal-e-zulf mein sine pe sanp lotte hain dahan-e-mar ka chhaala hai aabla dil ka sunun tumhaari ki apni kahun haqiqat-e-haal tumhein hai meri shikayat mujhe gila dil ka khuda ye nala-o-fariyaad saz-war kare ki dil-lagi hai hamari ye mashghala dil ka bhatak ke koi gaya dair ko koi kabe ajib bhul-bhulayyan hai marhala dil ka main ishq-e-qad mein alif khinch kar hua hun faqir main zulf-e-yar se rakhta hun silsila dil ka kisi ke zulf ne barham kiye hain hosh-o-hawas luta hai sham ke raste mein qafila dil ka khizan-rasidon ko bagh-o-bahaar se kya kaam na ab wo josh-e-tabiat na walwala dil ka zamana aur hai aubashiyon ka waqt nahin na wo mizaj hamara na hausla dil ka ye kis sanam ki mohabbat mein martaba paya hua jo arsh-e-khuda se muqabla dil ka kamal yar ke hathon jala hun mein ai 'bahr' hatheli ka hai phaphola ye aabla dil ka