milne ko tujh se dil to mera be-qarar hai tu aa ke mil na mil ye tera ikhtiyar hai jis jis ke pas dosto jis jis ka yar hai behtar chaman se ghar mein isi ke bahaar hai tum zakhm-e-dil ki mere khabar puchhte ho kya tir-e-nigah dil ke to ab war-par hai gar dushmani pe dost ne bandhi mere kamar dushman hai ab jo koi mera dost-dar hai lagti nahin palak se meri ab zara palak aane ka is ke jab se mujhe intizar hai ai shahsawar us ko bhi kar le tu ab shikar ye said-e-dil bhi umr se umid-war hai ye kuchh to haal tere diwane ka ab hua jidhar ko jawe aah use mar mar hai ai gul tujhe aziz hun rakhta main is liye yani ki tujh mein ek ramaq bu-e-yar hai ye kis ke dil ko chhin ke karte hain paemal in zalimon ka aah yahi karobar hai 'asif' khuda ke waste mat de buton ko dil ye wo hain jin ke qaul ka kya e'tibar hai