buton ki aankh mein kya KHwab jhilmilata hai

buton ki aankh mein kya khwab jhilmilata hai
ruka hua ho jo manzar to kaun aata hai

usi ke lams se zinda nuqush hain mere
wo apne hath se murat meri banata hai

wo zarf dekh ke deta hai dard chahat ke
phir us ke baad mohabbat ko aazmata hai

rida-e-charkh mein tanke hain hijr ne tare
ye sut sadiyon ki khamoshiyon ne kata hai

wafa ka likhta hai anjam ishq se pahle
phir us ke baad nagar pyar ka basata hai

tumhaare hote hue khak ho gai kaise
tumhaare sath mera kis tarah ka nata hai

ruka hua hai jo manzar wo us ka hissa hai
bhala lakir se bahar bhi koi aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close