ek dard-e-kuhan aankh se dhoya nahin jata

ek dard-e-kuhan aankh se dhoya nahin jata
jab ranj ziyaada ho to roya nahin jata

mit jaane ki khwahish ko mitaya nahin karte
kho dene ke arman ko khoya nahin jata

jalte hue khaliyan mein ugti nahin faslen
khwabon ko kabhi aag mein boya nahin jata

jab had se guzarte hain to gham gham nahin rahte
aur aisi zabun-haali mein roya nahin jata

tahrir mein banti nahin jo baat hai dil mein
kya dard hai sheron mein samoya nahin jata

sulgi hain meri aankh mein ek umr ki ninden
aangan mein lage aag to soya nahin jata

yun chhu ke dar-e-dil ko palat aata hai wapas
ek wahm mohabbat ka ki goya nahin jata

ab 'sufiya' is tarah se dil pe nahin banti
ab ashkon se aanchal ko bhigoya nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close