byakul man ke sune ban mein aas ka panchhi utra hai tere des ki purwai se apna bhi koi nata hai sukh ki nayya hath aae to jiwan aasha par lage man hi shant na ho to jiwan dukh-sagar ka dhaara hai dharti ghume chanda ghume suraj agni phere le bite kal se aane wala kal ka bandhan sachcha hai jin logon ne sach ki khatir apna jiwan-dan kiya purab pachchhim uttar dakhkhin aaj bhi un ka charcha hai kahne ko ek bhid lagi hai is sansar ke mele mein jis ke bhitar jhank ke dekho ek niranjan shoala hai sara khel to us ka hai andhiyare kitne gahre hain samay samay to jagmag karta jugnu chand se pyara hai pal mein manush hai ram pujari pal mein chela rawan ka pap aur pun ke bich ka dhaga dekho kitna kachcha hai ek dhanwan ki car ke niche ye kis ka dehant hua ek bhikari ka bachcha tha chhodo kis ko chinta hai tu ne to 'ashur' lahu ke dip jalae gali gali phir bhi tere man-mandir mein kyon itna andhiyara hai