chalte phirte raston mein kho gae ahbab sab bas gae kis des ja kar ai dil-e-betab sab tund maujon se jo uljhe the hue sahil nasib kashtiyon mein baithne wale hue gharqab sab chand gandi machhliyon ne sab ko ruswa kar diya machhliyon ke nam se darne lage talab sab wo andheron ka pujari chahta hai aur kya band karne par tula hai raushni ke bab sab sare sajde be-hararat sab duaen na-rasa kaise be-raunaq hue hain mimbar-o-mehrab sab un ke honton par tabassum un ki aankhon mein jalal chahne wale misal-e-mahi-e-be-ab sab niyyaton par munhasir hai zindagi ki haar jit yun to kahne ko mayassar hain hamein asbab sab raundte hain chand ka sina mashinon ke qadam reza-reza ho gae ruman-parwar khwab sab taki patton ka jadon se silsila daim rahe sikh le ai nasl-e-nau aslaf ke aadab sab