chaak-dil ho koi ya khak-basar kya hoga jis ko ehsas nahin us ko asar kya hoga hasil-e-dard ba-juz dida-e-tar kya hoga nahin malum yahan apna guzar kya hoga pahle aaghaz-e-shab-e-gham to samajh mein aae baad ki baat hai hangam-e-sahar kya hoga dekh kar rang-e-jahan-e-guzaran hairan hun jab ye aalam hai idhar ka to udhar kya hoga zindagi zauq-e-safar tark nahin kar sakti soch kar kya karun anjam-e-safar kya hoga aap to khair se barsat ka suraj thahre hum gharibon ki umidon ka magar kya hoga is se to ruh sanwarti hai nazar banti hai koi jalwa bhi tera sarf-e-nazar kya hoga dur tak waqt ki rahon mein andhera hai abhi dil na sulge to charaghon ka asar kya hoga zindagi aur sukun ek khula dhoka hai sans jab tak hai kashakash se mafar kya hoga khun dil ka na ho tamir mein jab tak shamil mo'atabar koi bhi andaz-e-nazar kya hoga waqt ke sath chale jate hain jaane wale sochte rahte hain sab zindagi bhar kya hoga 'shauq' aazar-talab fitrat-e-dil hai apni lakh hum chahenge aaram magar kya hoga