chhupae kya koi dard-e-jigar ko

chhupae kya koi dard-e-jigar ko
mohabbat rang deti hai nazar ko

tumhaara husn tum par kab khila tha
duaen do mere zauq-e-nazar ko

payam-e-ahl-e-dil kya jaane koi
nazar wale samajhte hain nazar ko

buland itna to ho zauq-e-tamasha
nigah-e-husn khud dhunde nazar ko

zara ruk ruk ke har parda uthana
kahin jalwe na gum kar den nazar ko

salamat inqilabaat-e-zamana
nai rahen milin fikr-o-nazar ko

jahan hoti hai dil ko rah dil se
nazar pahchan leti hai nazar ko

nazar de to shuur-e-did bhi de
nahin to kya karun le kar nazar ko

tajalli khud nazar banti hai lekin
mita kar etibaraat-e-nazar ko

unhen dekhe mujassam did ho kar
shuur itna kahan hai har nazar ko

khayal un ka jahan bhi 'shauq' aaya
nazar tai kar gai hadd-e-nazar ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close