chaak-e-daman-o-gireban pe hansi aati hai

chaak-e-daman-o-gireban pe hansi aati hai
kaise insan ho ki insan pe hansi aati hai

tum ki har manzil-e-dushwar se hat jate ho
hum ki har manzil-e-asan pe hansi aati hai

ye banae hue rang aur ye tarashe hue phul
mujh ko is jashn-e-bahaaran pe hansi aati hai

raat ek zulf-e-pareshan ke liye rota hun
subh har khwab-e-pareshan pe hansi aati hai

hum ko ek khel hain ye tauq-o-salasil sayyaad
hum ko zindan mein bhi zindan pe hansi aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close