bahut dinon se nazar mein hai yar ki surat gham-e-zamana se lekin farar ki surat nazar to aae kahin se bahaar ki surat nikaliye to koi e'tibar ki surat khula hua hai dar-e-mai-kada dilon ki tarah mahak rahi hai faza zulf-e-yar ki surat hazar marhala-e-zist samne aae badal badal ke tamanna-e-yar ki surat