chaak-e-daman se gareban aur kitni dur hai ai meri wahshat bayaban aur kitni dur hai ai shab-e-gham gardish-e-ayyam ki tujh ko qasam kuchh bata subh-e-bahaaran aur kitni dur hai aa gaya hun sarhad-e-imkan tak le kar lahu jaane ab sehn-e-gulistan aur kitni dur hai aazmaish se guzarta ja raha hun josh mein kya pata dariya-e-imkan aur kitni dur hai bosa-e-zanjir meri aakhiri manzil hai ab dekhta hun mujh se zindan aur kitni dur hai main mashaqqat kar raha hun ab zamin-e-dil pe bhi wo tera aks-e-farozan aur kitni dur hai ruh ki tathir kar ke dekhte jaana 'taraaz' matla-e-anwar-e-irfan aur kitni dur hai