dil liya hai to bewafa na bano dard mat do agar dawa na bano ya nawazo to lutf-e-paiham se ya kisi ka tum aasra na bano dil mein hur-o-qusur hain har aan shaikh upar se parsa na bano ashraf-ul-khalq hai laqab us ka pahle insan bano khuda na bano muddai ka na ho jo pas tumhein phir kisi dil ka muddaa na bano hum wafadar hain rahenge bhi na bano aap ba-wafa na bano laj rakh tu 'sahar' ke sajdon ki but bano tum agar khuda na bano