chaak karte hain gareban is farawani se hum roz khilat pate hain darbar-e-uryani se hum muntakhab karte hain maidan-e-shikast apne liye khak par girte hain lekin auj-e-sultani se hum hum zamin-e-qatl-gah par chalte hain sine ke bal jada-e-shamshir sar karte hain peshani se hum han miyan duniya ki cham-kham khub hai apni jagah ek zara ghabra gae hain dil ki virani se hum zof hai had se ziyaada lekin is ke bawajud zindagi se hath utha sakte hain aasani se hum dil se bahar aaj tak hum ne qadam rakkha nahin dekhne mein zahira lagte hain sailani se hum daulat-e-duniya kahan rakkhen jagah bhi ho kahin bhar chuke hain apna ghar be-saz-o-samani se hum zarra zarra jagmagati jalwa-barani-e-dost dekhte hain rauzan-e-diwar hairani se hum aql walo khair jaane do nahin samjhoge tum jis jagah pahunche hain rah-e-chaak-damani se hum karobar-e-zindagi se ji churaate hain sabhi jaise durweshi se tum maslan jahanbani se hum