duaon ke diye jab jal rahe the mere gham aansuon mein dhal rahe the kisi neki ka saya tha saron par jo lamhe aafaton ke tal rahe the hua ehsas ye aadhi sadi baad yahan par sirf raste chal rahe the watan ki azmaton ko dasne wale watan ki aastin mein pal rahe the bahut nazdik thi manzil hamari magar sab raste daldal rahe the nahin badle abhi munsif yahan ke wahi hain faisle jo kal rahe the jahan faizan-e-abaadi bahut hai wahan par bhi ghane jangal rahe the