chaak par kuza-gar hai mahw-e-suKHan

chaak par kuza-gar hai mahw-e-sukhan
gul khile ja rahe hain dasht-o-daman

hum darida-badan darida-badan
ek nae zawiye pe naqsh-e-kuhan

sher-o-shair hue hain shir-o-shakar
kya baham ho gae zamin-o-zaman

ek haijaan nisbaton mein kahin
ek reg-e-rawan hai dasht-e-sukhan

mujh se kya puchhti hai sairabi
kaise rahte hain log tishna-dahan

talkh tezabi tursh-tar lahja
un ke mabain ek shirin-dahan

hae diwar-e-girya hae hae
teri peshani pe hain kitni shikan

kya wahan bhi bagule uthte hain
aao dekh aaen chal ke su-e-adan

aasman chup hai aur zamin khamosh
kuchh khabar hai tumhein bhi arz-e-watan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close