raushniyon se bhar diya hai mujhe us ne khud jaisa kar diya hai mujhe aankh jhapkun to kanpta hai dil nind ne aisa dar diya hai mujhe mujh se ummid hai bhalai ki aur khud tu ne shar diya hai mujhe aap se pahle yun nahin tha main aap ne jaisa kar diya hai mujhe yun kiya hum ko lazim-o-malzum sang us ko to sar diya hai mujhe kya tawazun udan mein rakkhun us ne bas ek par diya hai mujhe in darindon mein rakhne ka matlab us ne aazad kar diya hai mujhe kya ajab di hai be-rukhi ki saza us ne chaukhat pe dhar diya hai mujhe