chaar-su aalam-e-imkan mein andhera dekha tu jidhar hai usi jaanib ko ujala dekha us pe qurban ki jis ne teri aawaz suni sadqe us aankh ke jis ne tera jalwa dekha khalwat-e-quds ki be-parda tajalli ko na puchh shauq-e-nazzara mein sirf aankh ka parda dekha aankh jab band hui khul gaya raaz-e-qudrat shan-e-mabud andhere mein ujala dekha parda uth jaega jab ru-e-tajalli se kalim aap khud munh se kahenge ki abhi kya dekha ru-e-gul rang-e-khizan josh-e-junun fasl-e-bahaar chaar din ke liye is bagh mein kya kya dekha 'auj' kaj-bakhti-e-arbab-e-sukhan se kya bahs daman-e-gul kabhi kanton mein na uljha dekha