duniya mein kise aag lagani nahin aati afsos magar sab ko bujhani nahin aati ta-hadd-e-nazar dasht hai kyun baithe hue ho lagta hai tumhein khak udani nahin aati wo shokh hai baaton mein laga rahta hai aksar sunta hun mujhe baat banani nahin aati bistar ki zarurat hi nahin nind ko pyare kya jism ki chadar hi bichhani nahin aati bujhti hi nahin aag lagi hai jo jigar mein lekin mere ashkon mein rawani nahin aati khushbu se mahakti hi nahin raat hamari khwabon mein agar raat ki rani nahin aati nadan meri mez ke shishe pe gire hain ashkon ko bhi taswir banani nahin aati main khud bhi khilaunon ka taraf-dar rahunga jab tak mere bachchon pe jawani nahin aati main sirf haqiqat hi bayan karta hun 'aijaz' afsana nahin aata kahani nahin aati