chaar-su hai badi wahshat ka saman kisi aaseb ka saya hai yahan koi aawaz si hai marsiyan-khwan shahr ka shahr bana goristan ek makhluq jo basti hai yahan jis pe insan ka guzarta hai guman khud to sakit hai misal-e-taswir jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan koi chehra nahin juz zer-e-naqab na koi jism hai juz be-dil-o-jaan ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq kodani shewa-e-danish-mandan shair-e-qaum pe ban aai hai kizb kaise ho tasawwuf mein nihan lab hain masruf-e-qasida-goi aur aankhon mein hai zillat uryan sabz khat aaqibat-o-din ke asir parsa khush-tan-o-nau-khez jawan ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiar yas-o-hasrat se hui hai hairan kis se ab aarzu-e-wasl karen is kharabe mein koi mard kahan