zat jab bhi udan tak pahunchi wusat-e-la-makan tak pahunchi jab haqiqat guman tak pahunchi ek nae imtihan tak pahunchi baat phailai thi jo dushman ne dekho wo mehrban tak pahunchi kashtiyan sab jala ke aai thi jab wo tere makan tak pahunchi ek tera nam kya liya hum ne baat tir-o-kaman tak pahunchi raaz-dan se kahi thi chupke se baat sare jahan tak pahunchi ab tere intizar mein ai dost muskurahat thakan tak pahunchi odh kar zabt ki rida paiham hausle ki chatan tak pahunchi aakhir-e-shab dua 'masarrat' ki ja ke phir aasman tak pahunchi